Shamim Karhani
Ghazal 48
Nazm 12
Sher-o-Shayari 7
bujhā hai dil to na samjho ki bujh gayā ġham bhī
ki ab charāġh ke badle charāġh kī lau hai
bujha hai dil to na samjho ki bujh gaya gham bhi
ki ab charagh ke badle charagh ki lau hai
-
Share this
- See Ghazal
yād-e-māzī ġham-e-imroz umīd-e-fardā
kitne saa.e mire hamrāh chalā karte haiñ
yaad-e-mazi gham-e-imroz umid-e-farda
kitne sae mere hamrah chala karte hain
-
Share this
- See Ghazal
chup huuñ tumhārā dard-e-mohabbat liye hue
sab pūchhte haiñ tum ne zamāne se kyā liyā
chup hun tumhaara dard-e-mohabbat liye hue
sab puchhte hain tum ne zamane se kya liya
-
Share this
- See Ghazal
lījiye bulā liyā aap ko ḳhayāl meñ
ab to dekhiye hameñ koī dekhtā nahīñ
now that I have invited you in my reverie
you can look upon me, none is there to see
lijiye bula liya aap ko KHayal mein
ab to dekhiye hamein koi dekhta nahin
now that I have invited you in my reverie
you can look upon me, none is there to see
-
Share this
- Translation
piine ko is jahān meñ kaun sī mai nahīñ magar
ishq jo bāñTtā hai vo āb-e-hayāt aur hai
pine ko is jahan mein kaun si mai nahin magar
ishq jo banTta hai wo aab-e-hayat aur hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 13
Image Shayari 1
rakhnaa hai to phuulo.n ko tuu rakh le nigaaho.n me.n KHushbuu to musaafir hai kho jaa.egii raaho.n me.n kyuu.n merii mohabbat se barham ho zamii.n vaalo ik aur gunah rakh lo duniyaa ke gunaaho.n me.n kaifiyat-e-mai dil kaa darmaa.n na hu.ii lekin ra.ngii.n to rahii duniyaa kuchh der nigaaho.n me.n kaa.nTo.n se guzar jaanaa dushvaar nahii.n lekin kaa.nTe hii nahii.n yaaro kaliyaa.n bhii hai.n raaho.n me.n parda ho to parda ho is parde ko kyaa kahiye chhupte hai.n nigaaho.n se rahte hai.n nigaaho.n me.n yaaraan-e-rah-e-Gurbat kyaa ho ga.e kyaa kahiye kuchh so ga.e manzil par kuchh kho ga.e raaho.n me.n guzrii hu.ii sadiyo.n ko aaGaaz-e-safar samjho maazii abhii kam-sin hai fardaa kii nigaaho.n me.n ra.ngii.n hai 'shamiim' ab tak pairaahan-e-jaa.n apnaa ham raat guzaar aa.e kis KHvaab kii baa.nho.n me.n