Sher of Shams Ramzi
Dūbtā huā sūraj de gayā sazā aisī
kho ga.ī añdheroñ meñ raushnī kī ḳhush-fahmī
Dubta hua suraj de gaya saza aisi
kho gai andheron mein raushni ki KHush-fahmi
be-zabāñ bhī to batā detā hai manzil kā patā
tai karātā hai safar miil kā patthar ḳhāmosh
be-zaban bhi to bata deta hai manzil ka pata
tai karaata hai safar mil ka patthar KHamosh
fazā meñ uḌte parinde kī ḳhair ho yārab
ki us kā tair baḌā hai magar kamān hai tañg
faza mein uDte parinde ki KHair ho yarab
ki us ka tair baDa hai magar kaman hai tang