Sher of Shamsher Khan
mohabbat kā taqāza hai zarā duurī rakhī jaa.e
bahut nazdīkiyāñ aksar baḌī taklīf detī haiñ
mohabbat ka taqaza hai zara duri rakhi jae
bahut nazdikiyan aksar baDi taklif deti hain
ye baat sach hai tumheñ zulm meñ mahārat hai
ye baat bhī to haqīqat hai maiñ nahīñ Dartā
ye baat sach hai tumhein zulm mein mahaarat hai
ye baat bhi to haqiqat hai main nahin Darta
-
Tag : Resistance
shāyad tumhārī diid mayassar na ho kabhī
aao ki tum ko dekh leñ fursat se aaj ham
shayad tumhaari did mayassar na ho kabhi
aao ki tum ko dekh len fursat se aaj hum
tumheñ sāhil kī hasrat hai hameñ tūfāñ se laḌnā hai
chalo behtar kiyā tum ne kinārā kar liyā ham se
tumhein sahil ki hasrat hai hamein tufan se laDna hai
chalo behtar kiya tum ne kinara kar liya hum se
ye gardish hai zamāne kī maiñ tum se duur huuñ lekin
maiñ jitnā duur jaatā huuñ tum itnā yaad aate ho
ye gardish hai zamane ki main tum se dur hun lekin
main jitna dur jata hun tum itna yaad aate ho
terī koshish hai charāġhoñ ko bujhā de mere
merī hasrat hai tire ghar meñ ujālā jaa.e
teri koshish hai charaghon ko bujha de mere
meri hasrat hai tere ghar mein ujala jae
vo ik lamha mohabbat kā jab us ne hāl-e-dil pūchhā
vo ik lamha hazāroñ saal kī furqat pe bhārī thā
wo ek lamha mohabbat ka jab us ne haal-e-dil puchha
wo ek lamha hazaron sal ki furqat pe bhaari tha
agar nākām honā hai
mohabbat kaam kī shai hai
agar nakaam hona hai
mohabbat kaam ki shai hai
ek dhāre meñ bah rahe haiñ ham
log kahte haiñ zindagī is ko
ek dhaare mein bah rahe hain hum
log kahte hain zindagi is ko