Sher of Syed Masood Hasan Masood
tirā kūcha bahut achchhā hai lekin
mire rahne kī gunjā.ish kahāñ hai
tera kucha bahut achchha hai lekin
mere rahne ki gunjaish kahan hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aish-e-duniyā se ḳhush na ho koī
ham ne dekhe haiñ aise ḳhvāb bahut
aish-e-duniya se KHush na ho koi
hum ne dekhe hain aise KHwab bahut
hazāroñ paikar-e-ummīd nazroñ se hue ojhal
jo kuchh baaqī rahe the vo bhī pinhāñ hote jaate haiñ
hazaron paikar-e-ummid nazron se hue ojhal
jo kuchh baqi rahe the wo bhi pinhan hote jate hain
aah ye chāra-sāziyāñ haa.e ye be-niyāziyāñ
sab se nazar milī huī sab se magar alag alag
aah ye chaara-saziyan hae ye be-niyaziyan
sab se nazar mili hui sab se magar alag alag
kisī pāband-e-ġham kī zindagī kyā
kabhī naale kabhī fariyād karnā
kisi paband-e-gham ki zindagi kya
kabhi nale kabhi fariyaad karna
pahle siite haiñ ham garebāñ ko
phir use taar taar karte haiñ
pahle site hain hum gareban ko
phir use tar tar karte hain