Sher of Zafar Taban
kahte haiñ ishq kā anjām burā hotā hai
ab to kuchh bhī ho mohabbat kā nibhānā hai hameñ
kahte hain ishq ka anjam bura hota hai
ab to kuchh bhi ho mohabbat ka nibhana hai hamein
ḳhalish-e-ishq se bachpan hai dil ek taraf
is pe yā-rab ġham-e-hastī bhī uThānā hai hameñ
KHalish-e-ishq se bachpan hai dil ek taraf
is pe ya-rab gham-e-hasti bhi uThana hai hamein
yaad meñ terī do-ālam ko bhulānā hai hameñ
umr bhar ab kahīñ aanā hai na jaanā hai hameñ
yaad mein teri do-alam ko bhulana hai hamein
umr bhar ab kahin aana hai na jaana hai hamein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab bhī ḳhudā-parast hai dair-o-haram kī qaid meñ
haa.e nigāh-e-nā-rasā haa.e mazāq-e-nā-tamām
ab bhi KHuda-parast hai dair-o-haram ki qaid mein
hae nigah-e-na-rasa hae mazaq-e-na-tamam
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhūbī o shān-e-dilbarī ġhamza-o-nāz hī nahīñ
husn meñ vo adā bhī hai jis kā nahīñ hai koī kaam
KHubi o shan-e-dilbari ghamza-o-naz hi nahin
husn mein wo ada bhi hai jis ka nahin hai koi kaam
tā.ir-e-ḳhasta-bāl ko daam bhī kunj-e-āshiyāñ
murġh-e-chaman-navard ko gosha-e-āshiyāñ bhī daam
tair-e-KHasta-baal ko dam bhi kunj-e-ashiyan
murgh-e-chaman-naward ko gosha-e-ashiyan bhi dam
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download