ALL
Profile
Ghazal39
Nazm58
Sher39
E-book46
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari8
Audio32
Video41
Qita10
Qisse29
Gallery 2
Blog3
Other
Asrarul Haq Majaz
Ghazal 39
Nazm 58
Sher-o-Shayari 39
izn-e-ḳhirām lete hue āsmāñ se ham
haT kar chale haiñ rahguzar-e-kārvāñ se ham
izn-e-KHiram lete hue aasman se hum
haT kar chale hain rahguzar-e-karwan se hum
-
Share this
- See Ghazal
phir kisī ke sāmne chashm-e-tamannā jhuk ga.ī
shauq kī shoḳhī meñ rañg-e-ehtarām aa hī gayā
phir kisi ke samne chashm-e-tamanna jhuk gai
shauq ki shoKHi mein rang-e-ehtaram aa hi gaya
-
Share this
- See Ghazal
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannā sunā diyā
kis dil se aah tark-e-tamannā kare koī
tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya
kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi
-
Share this
- See Ghazal
ye mere ishq kī majbūriyāñ ma.āz-allāh
tumhārā raaz tumhīñ se chhupā rahā huuñ maiñ
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main
-
Share this
- See Ghazal
Qita 10
Qisse 29
BOOKS 46
Image Shayari 8
dafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz ko aur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n mai.n
mai.n aa.he.n bhar nahii.n saktaa ki naGme gaa nahii.n saktaa sakuu.n lekin mire dil ko mayassar aa nahii.n saktaa ko.ii naGme to kyaa ab mujh se meraa saaz bhii le le jo gaanaa chaahtaa huu.n aah vo mai.n gaa nahii.n saktaa mataa-e-soz-o-saaz-e-zindagii paimaana o barbat mai.n KHud ko in khilauno.n se bhii ab bahlaa nahii.n saktaa vo baadal sar pe chhaa.e hai.n ki sar se haT nahii.n sakte milaa hai dard vo dil ko ki dil se jaa nahii.n saktaa havas-kaarii hai jurm-e-KHud-kushii merii sharii.at me.n ye hadd-e-aaKHirii hai mai.n yahaa.n tak jaa nahii.n saktaa na tuufaa.n rok sakte hai.n na aa.ndhii rok saktii hai magar phir bhii mai.n us qasr-e-hasii.n tak jaa nahii.n saktaa vo mujh ko chaahtii hai aur mujh tak aa nahii.n saktii mai.n us ko puujtaa huu.n aur us ko paa nahii.n saktaa ye majbuurii sii majbuurii ye laachaarii sii laachaarii ki us ke giit bhii dil khol kar mai.n gaa nahii.n saktaa zabaa.n par be-KHudii me.n naam us kaa aa hii jaataa hai agar puuchhe ko.ii ye kaun hai batlaa nahii.n saktaa kahaa.n tak qissa-e-aalaam-e-furqat muKHtasar ye hai yahaa.n vo aa nahii.n saktii vahaa.n mai.n jaa nahii.n saktaa hade.n vo khii.nch rakkhii hai.n haram ke paasbaano.n ne ki bin mujrim bane paiGaam bhii pahu.nchaa nahii.n saktaa
shahr kii raat aur mai.n naashaad o naakaaraa phiruu.n jagmagaatii jaagtii sa.Dko.n pe aavaaraa phiruu.n Gair kii bastii hai kab tak dar-ba-dar maaraa phiruu.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n jhilmilaate qumqumo.n kii raah me.n zanjiir sii raat ke haatho.n me.n din kii mohnii tasviir sii mere siine par magar rakhii hu.ii shamshiir sii ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n ye rupahlii chhaa.nv ye aakaash par taaro.n kaa jaal jaise suufii kaa tasavvur jaise aashiq kaa KHayaal aah lekin kaun jaane kaun samjhe jii kaa haal ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n phir vo TuuTaa ik sitaara phir vo chhuuTii phul-ja.Dii jaane kis kii god me.n aa.ii ye motii kii la.Dii huuk sii siine me.n uTThii choT sii dil par pa.Dii ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n raat ha.ns ha.ns kar ye kahtii hai ki mai-KHaane me.n chal phir kisii shahnaaz-e-laala-ruKH ke kaashaane me.n chal ye nahii.n mumkin to phir ai dost viiraane me.n chal ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n har taraf bikhrii hu.ii ra.ngiiniyaa.n ra.anaa.iyaa.n har qadam par ishrate.n letii hu.ii a.ng.Daa.iyaa.n ba.Dh rahii hai.n god phailaa.e hu.e rusvaa.iyaa.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n raaste me.n ruk ke dam le luu.n mirii aadat nahii.n lauT kar vaapas chalaa jaa.uu.n mirii fitrat nahii.n aur ko.ii ham-navaa mil jaa.e ye qismat nahii.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n muntazir hai ek tuufaan-e-balaa mere liye ab bhii jaane kitne darvaaze hai.n vaa mere liye par musiibat hai miraa ahd-e-vafaa mere liye ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n jii me.n aataa hai ki ab ahd-e-vafaa bhii to.D duu.n un ko paa saktaa huu.n mai.n ye aasraa bhii to.D duu.n haa.n munaasib hai ye zanjiir-e-havaa bhii to.D duu.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n ik mahal kii aa.D se niklaa vo piilaa maahtaab jaise mullaa kaa amaama jaise baniye kii kitaab jaise muflis kii javaanii jaise beva kaa shabaab ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n dil me.n ik sho.ala bha.Dak uTThaa hai aaKHir kyaa karuu.n meraa paimaana chhalak uTThaa hai aaKHir kyaa karuu.n zaKHm siine kaa mahak uTThaa hai aaKHir kyaa karuu.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n jii me.n aataa hai ye murda chaa.nd taare noch luu.n is kinaare noch luu.n aur us kinaare noch luu.n ek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luu.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n muflisii aur ye mazaahir hai.n nazar ke saamne saik.Do.n sultaan-e-jaabir hai.n nazar ke saamne saik.Do.n cha.ngez o naadir hai.n nazar ke saamne ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n le ke ik cha.ngez ke haatho.n se KHanjar to.D duu.n taaj par us ke damaktaa hai jo patthar to.D duu.n ko.ii to.De yaa na to.De mai.n hii ba.Dh kar to.D duu.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n ba.Dh ke us indar sabhaa kaa saaz o saamaa.n phuu.nk duu.n us kaa gulshan phuu.nk duu.n us kaa shabistaa.n phuu.nk duu.n taKHt-e-sultaa.n kyaa mai.n saaraa qasr-e-sultaa.n phuu.nk duu.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n