Azm Bahzad
Ghazal 16
Nazm 1
Sher-o-Shayari 18
kal sāmne manzil thī pīchhe mirī āvāzeñ
chaltā to bichhaḌ jaatā ruktā to safar jaatā
kal samne manzil thi pichhe meri aawazen
chalta to bichhaD jata rukta to safar jata
-
Share this
- See Ghazal
raushnī DhūñD ke laanā koī mushkil to na thā
lekin is dauḌ meñ har shaḳhs ko jalte dekhā
raushni DhunD ke lana koi mushkil to na tha
lekin is dauD mein har shaKHs ko jalte dekha
-
Share this
- See Ghazal
kitne mausam sargardāñ the mujh se haath milāne meñ
maiñ ne shāyad der lagā dī ḳhud se bāhar aane meñ
kitne mausam sargardan the mujh se hath milane mein
main ne shayad der laga di KHud se bahar aane mein
-
Share this
- See Ghazal
ajab mahfil hai sab ik dūsre par hañs rahe haiñ
ajab tanhā.ī hai ḳhalvat kī ḳhalvat ro rahī hai
ajab mahfil hai sab ek dusre par hans rahe hain
ajab tanhai hai KHalwat ki KHalwat ro rahi hai
-
Share this
- See Ghazal
dariyā paar utarne vaale ye bhī jaan nahīñ paa.e
kise kināre par le Duubā paar utar jaane kā ġham
dariya par utarne wale ye bhi jaan nahin pae
kise kinare par le Duba par utar jaane ka gham
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
mai.n umar ke raste me.n chup-chaap bikhar jaataa ik din bhii agar apnii tanhaa.ii se Dar jaataa mai.n tark-e-ta.alluq par zinda huu.n so mujrim huu.n kaash us ke liye jiitaa apne liye mar jaataa us raat ko.ii KHushbuu qurbat me.n nahii.n jaagii mai.n varna sa.nvar jaataa aur vo bhii nikhar jaataa us jaan-e-takallum ko tum mujh se to milvaate tasKHiir na kar paataa hairaan to kar jaataa kal saamne manzil thii piichhe mirii aavaaze.n chaltaa to bichha.D jaataa ruktaa to safar jaataa mai.n shahr kii raunaq me.n gum ho ke bahut KHush thaa ik shaam bachaa letaa ik roz to ghar jaataa mahruum fazaa.o.n me.n maayuus nazaaro.n me.n tum 'azm' nahii.n Thahre mai.n kaise Thahar jaataa