Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iftikhar Imam Siddiqi's Photo'

Iftikhar Imam Siddiqi

1947 | Mumbai, India

Sher of Iftikhar Imam Siddiqi

jo chup rahā to vo samjhegā bad-gumān mujhe

burā bhalā sahī kuchh to bol aa.uuñ maiñ

jo chup raha to wo samjhega bad-guman mujhe

bura bhala hi sahi kuchh to bol aaun main

ik musalsal dauḌ meñ haiñ manzileñ aur fāsle

paañv to apnī jagah haiñ rāsta apnī jagah

ek musalsal dauD mein hain manzilen aur fasle

panw to apni jagah hain rasta apni jagah

vo ḳhvāb thā bikhar gayā ḳhayāl thā milā nahīñ

magar ye dil ko kyā huā kyuuñ bujh gayā patā nahīñ

wo KHwab tha bikhar gaya KHayal tha mila nahin

magar ye dil ko kya hua kyun bujh gaya pata nahin

phir us ke ba.ad ta.alluq meñ fāsle hoñge

mujhe sambhāl ke rakhnā bichhaḌ na jā.ūñ maiñ

phir us ke baad talluq mein fasle honge

mujhe sambhaal ke rakhna bichhaD na jaun main

dard saarī taheñ aur saare guzre hādse

sab dhuāñ ho jā.eñge ik vāqi.a rah jā.egā

dard ki sari tahen aur sare guzre hadse

sab dhuan ho jaenge ek waqia rah jaega

vo apnī nafratoñ ko kahāñ ke bāñTtā

us ke liye to shahr meñ āsān maiñ thā

wo apni nafraton ko kahan ja ke banTta

us ke liye to shahr mein aasan main hi tha

Recitation

Speak Now