Sher of Inaam azmi
mujhe pata hai mohabbat meñ kyā guzartī hai
so tujh se ishq nahīñ tujh se dostī karūñgā
mujhe pata hai mohabbat mein kya guzarti hai
so tujh se ishq nahin tujh se dosti karunga
añdhere is liye rahte haiñ saath saath mire
ye jānte haiñ maiñ ik roz raushnī karūñgā
andhere is liye rahte hain sath sath mere
ye jaante hain main ek roz raushni karunga
log jaise bhī hoñ pairoñ ke tale rakhte haiñ
itnā āsāñ nahīñ hotā hai zamīn honā dost
log jaise bhi hon pairon ke tale rakhte hain
itna aasan nahin hota hai zamin hona dost
us ne is tarah se badla hai ravayya apnā
pūchhnā paḌtā hai har vaqt tumhīñ ho nā dost
us ne is tarah se badla hai rawayya apna
puchhna paDta hai har waqt tumhin ho na dost
ab us se kahnā ki agle hisse meñ aane vaalā hai moḌ aisā
jahāñ kisī kā maiñ hal banūñgā koī mirā mas.ala banegā
ab us se kahna ki agle hisse mein aane wala hai moD aisa
jahan kisi ka main hal banunga koi mera masala banega