Jamal Ehsani
Ghazal 104
Sher-o-Shayari 66
aur ab ye chāhtā huuñ koī ġham baTā.e mirā
maiñ apnī miTTī kabhī aap Dhone vaalā thā
aur ab ye chahta hun koi gham baTae mera
main apni miTTi kabhi aap Dhone wala tha
-
Share this
- See Ghazal
bichhaḌte vaqt Dhalaktā na gar in āñkhoñ se
is ek ashk kā kyā kyā malāl rah jaatā
bichhaDte waqt Dhalakta na gar in aankhon se
is ek ashk ka kya kya malal rah jata
-
Share this
- See Ghazal
kisī bhī vaqt badal saktā hai lamha koī
is qadar ḳhush bhī na ho merī pareshānī par
kisi bhi waqt badal sakta hai lamha koi
is qadar KHush bhi na ho meri pareshani par
-
Share this
- See Ghazal
manhūs ek shakl hai jis se nahīñ farār
parchhā.īñ kī tarah se barābar lagī huī
manhus ek shakl hai jis se nahin farar
parchhain ki tarah se barabar lagi hui
-
Share this
- See Ghazal
us ne bārish meñ bhī khiḌkī khol ke dekhā nahīñ
bhīgne vāloñ ko kal kyā kyā pareshānī huī
us ne barish mein bhi khiDki khol ke dekha nahin
bhigne walon ko kal kya kya pareshani hui
-
Share this
- See Ghazal
Qita 1
Image Shayari 12
KHud jise mehnat mashaqqat se banaataa huu.n 'jamaal' chho.D detaa huu.n vo rasta aam ho jaane ke ba.ad