Malikzaada Manzoor Ahmad
Ghazal 19
Nazm 1
Sher-o-Shayari 23
ajiib dard kā rishta hai saarī duniyā meñ
kahīñ ho jaltā makāñ apnā ghar lage hai mujhe
ajib dard ka rishta hai sari duniya mein
kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
-
Share this
- See Ghazal
daur-e-ishrat ne sañvāre haiñ ġhazal ke gesū
fikr ke pahlū magar ġham kī badaulat aa.e
daur-e-ishrat ne sanware hain ghazal ke gesu
fikr ke pahlu magar gham ki badaulat aae
-
Share this
- See Ghazal
kaash daulat-e-ġham hī apne paas bach rahtī
vo bhī un ko de baiThe aisī maat khaa.ī hai
kash daulat-e-gham hi apne pas bach rahti
wo bhi un ko de baiThe aisi mat khai hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 53
Image Shayari 1
chehre pe saare shahr ke gard-e-malaal hai jo dil kaa haal hai vahii dillii kaa haal hai uljhan ghuTan hiraas tapish karb intishaar vo bhii.D hai ke saa.ns bhii lenaa muhaal hai aavaargii kaa haq hai havaa.o.n ko shahr me.n ghar se charaaG le ke nikalnaa muhaal hai be-chehragii kii bhii.D me.n gum hai har ik vajuud aa.iina puuchhtaa hai kahaa.n KHadd-o-KHaal hai jin me.n ye vasf ho ki chhupaa le.n har ek daaG un aa.ino.n kii aaj ba.Dii dekh-bhaal hai parchhaa.iyaa.n qado.n se bhii aage nikal ga.ii.n suuraj ke Duub jaane kaa ab ehtimaal hai kashkol-e-chashm le ke phiro tum na dar-ba-dar 'manzuur' qaht-e-jins-e-vafaa kaa ye saal hai