Sher of Noon Meem Rashid
vahī manzileñ vahī dasht o dar tire dil-zadoñ ke haiñ rāhbar
vahī aarzū vahī justujū vahī rāh-e-pur-ḳhatar-e-junūñ
wahi manzilen wahi dasht o dar tere dil-zadon ke hain rahbar
wahi aarzu wahi justuju wahi rah-e-pur-KHatar-e-junun
ġham-e-āshiqī meñ girah-kushā na ḳhirad huī na junūñ huā
vo sitam sahe ki hameñ rahā na pa.e-ḳhirad na sar-e-junūñ
gham-e-ashiqi mein girah-kusha na KHirad hui na junun hua
wo sitam sahe ki hamein raha na pae-KHirad na sar-e-junun
pilā sāqiyā mai-e-jāñ pilā ki maiñ lā.ūñ phir ḳhabar-e-junūñ
ye ḳhirad kī raat chhaTe kahīñ nazar aa.e phir sahar-e-junūñ
pila saqiya mai-e-jaan pila ki main laun phir KHabar-e-junun
ye KHirad ki raat chhaTe kahin nazar aae phir sahar-e-junun