Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Pallav Mishra's Photo'

Pallav Mishra

1998 | Delhi, India

One of the prominent voices among the emerging generation of Urdu poets, A beautiful combination of the softness of language and the depth of feelings in poetry

One of the prominent voices among the emerging generation of Urdu poets, A beautiful combination of the softness of language and the depth of feelings in poetry

Pallav Mishra

Ghazal 11

Sher-o-Shayari 13

maiñ tujh se milne samay se pahle pahuñch gayā thā

so tere ghar ke qarīb aa kar bhaTak rahā huuñ

main tujh se milne samay se pahle pahunch gaya tha

so tere ghar ke qarib aa kar bhaTak raha hun

  • Share this

ye jism tañg hai siine meñ bhī lahū kam hai

dil ab vo phuul hai jis meñ ki rañg-o-bū kam hai

ye jism tang hai sine mein bhi lahu kam hai

dil ab wo phul hai jis mein ki rang-o-bu kam hai

  • Share this

ye tai huā thā ki ḳhuub ro.eñge jab mileñge

ab us ke shāne pe sar hai to hañste rahe haiñ

ye tai hua tha ki KHub roenge jab milenge

ab us ke shane pe sar hai to hanste ja rahe hain

  • Share this

shahr-e-jāñ meñ vabāoñ ik daur thā

maiñ adā-e-tanaffus meñ kamzor thā

shahr-e-jaan mein wabaon ka ek daur tha

main ada-e-tanaffus mein kamzor tha

  • Share this

vo nasha hai ke zabāñ aql se kartī hai fareb

mirī baat ke mafhūm pe jaatā hai kahāñ

wo nasha hai ke zaban aql se karti hai fareb

tu meri baat ke mafhum pe jata hai kahan

  • Share this

Image Shayari 1

 

Videos 6

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Poet reciting own poetry

Pallav Mishra

Pallav Mishra

kuchh aise do-jahaa.n se raabta rakkhaa gayaa hai

Pallav Mishra

lahuu me.n ghul ghul ke bah rahe the rago.n ke andar

Pallav Mishra

tumhaarii duniyaa ke baahar andar bhaTak rahaa huu.n

Pallav Mishra

vo baar-e-farz-e-takalluf mujhii ko Dhonaa pa.Daa

Pallav Mishra

RELATED contributors

More contributors From "Delhi"

 

Recitation

Speak Now