Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qaisar Shameem's Photo'

Qaisar Shameem

1936 - 2021 | West Bengal, India

Sher of Qaisar Shameem

kisī manzil meñ bhī hāsil na huā dil ko qarār

zindagī ḳhvāhish-e-nākām karte guzrī

kisi manzil mein bhi hasil na hua dil ko qarar

zindagi KHwahish-e-nakaam hi karte guzri

us ke āñgan meñ raushnī thī magar

ghar ke andar baḌā añdherā thā

us ke aangan mein raushni thi magar

ghar ke andar baDa andhera tha

mausam 'ajīb rahtā hai dil ke dayār

aage haiñ ke jhoñke bhī ThanDī havā ke ba.ad

mausam 'ajib rahta hai dil ke dayar ka

aage hain lu ke jhonke bhi ThanDi hawa ke baad

sabz mausam se mujhe kyā lenā

shāḳh se apnī judā huuñ baabā

sabz mausam se mujhe kya lena

shaKH se apni juda hun baba

merā maz.hab ishq maz.hab jis meñ koī tafrīq nahīñ

mere halqe meñ aate haiñ 'tulsī' bhī aur 'jāmī' bhī

mera mazhab ishq ka mazhab jis mein koi tafriq nahin

mere halqe mein aate hain 'tulsi' bhi aur 'jami' bhi

saaz se mere ġhalat naġhmoñ ummīd na kar

aag aag hai dil meñ to dhuāñ kyūñkar ho

saz se mere ghalat naghmon ki ummid na kar

aag ki aag hai dil mein to dhuan kyunkar ho

Recitation

Speak Now