Sahir Hoshiyarpuri
Ghazal 28
Nazm 3
Sher-o-Shayari 13
apnī apnī zaat meñ gum haiñ ahl-e-dil bhī ahl-e-nazar bhī
mahfil meñ dil kyūñkar bahle mahfil meñ tanhā.ī bahut hai
apni apni zat mein gum hain ahl-e-dil bhi ahl-e-nazar bhi
mahfil mein dil kyunkar bahle mahfil mein tanhai bahut hai
-
Share this
- See Ghazal
kaun kahtā hai mohabbat kī zabāñ hotī hai
ye haqīqat to nigāhoñ se bayāñ hotī hai
kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
vo aur hoñge pī ke jo sarshār ho ga.e
har jaam se hameñ to na.ī tishnagī milī
wo aur honge pi ke jo sarshaar ho gae
har jam se hamein to nai tishnagi mili
-
Share this
- See Ghazal
Qita 11
Rubai 2
Children's Story 1
BOOKS 27
Image Shayari 2
vo jis ko ham ne apnaayaa bahut hai usii ne dil ko ta.Dpaayaa bahut hai hamaare qatl kii saazish ke darpai hamaaraa nek ham-saaya bahut hai dil-e-dard-aashnaa shauq-e-shahaadat mohabbat me.n ye sarmaaya bahut hai ajab shai hai chaman-zaar-e-tamannaa samar ko.ii nahii.n saaya bahut hai KHataa us kii nahii.n dil ko hamii.n ne tamannaa.o.n me.n uljhaayaa bahut hai KHudaa mahfuuz rakhe aasmaa.n ko zamii.n ko is ne jhulsaayaa bahut hai tirii yaad aa.ii hai to aaj ham ko dil-e-gum-gashta yaad aayaa bahut hai ba-naam-e-hazrat-e-naaseh bhii ik jaam ki us ne va.az farmaayaa bahut hai na kyuu.n Thukraa.e.n ham duniyaa ko 'saahir' hame.n bhii us ne Thukraayaa bahut hai
Gam kaa sahraa na milaa dard kaa dariyaa na milaa ham ne marnaa bhii jo chaahaa to vasiila na milaa muddato.n baa'd jo aa.iine me.n jhaa.nkaa ham ne itne chehre the vahaa.n apnaa hii chehra na milaa qatl kar ke vo Ganiimo.n ko jo vaapas aa.e apne hii ghar me.n unhe.n ko.ii shanaasaa na milaa ham bhii jaa nikle the suuraj ke nagar me.n ik din vo a.ndheraa thaa vahaa.n apnaa bhii saaya na milaa tishna-lab yuu.n to zamaane me.n kabhii ham na rahe pyaas jo dil kii bujhaa detaa vo dariyaa na milaa mil ga.e ham ko sanam-KHaano.n me.n kitne hii KHudaa Dhuu.nDne par ko.ii banda hii KHudaa kaa na milaa aap ke shahr me.n pe.Do.n kaa nahii.n ko.ii shumaar do gha.Dii rukne ko lekin kahii.n saaya na milaa sabz patto.n se milaa ham ko bahaaro.n kaa suraaG shaaKH-e-naazuk pe magar ko.ii shaguufa na milaa mustahaq ham tirii rahmat ke na hone paa.e terii duniyaa me.n ko.ii 'uzr KHataa kaa na milaa KHud-numaa.ii ke bhii is daur me.n ham ko 'saahir' ko.ii qaatil na milaa ko.ii masiihaa na milaa