Sudarshan Faakir
Ghazal 17
Nazm 1
Sher-o-Shayari 21
sāmne hai jo use log burā kahte haiñ
jis ko dekhā hī nahīñ us ko ḳhudā kahte haiñ
samne hai jo use log bura kahte hain
jis ko dekha hi nahin us ko KHuda kahte hain
-
Share this
- See Ghazal
ishq hai ishq ye mazāq nahīñ
chand lamhoñ meñ faisla na karo
love is love, no joke at all
Rashly, do not make a call
ishq hai ishq ye mazaq nahin
chand lamhon mein faisla na karo
love is love, no joke at all
Rashly, do not make a call
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
tere jaane meñ aur aane meñ
ham ne sadiyoñ kā fāsla dekhā
tere jaane mein aur aane mein
hum ne sadiyon ka fasla dekha
-
Share this
- See Ghazal
ham to samjhe the ki barsāt meñ barsegī sharāb
aa.ī barsāt to barsāt ne dil toḌ diyā
showers of wine, I did think, would come with rainy clime
but alas when it did rain my heart broke one more time
hum to samjhe the ki barsat mein barsegi sharab
aai barsat to barsat ne dil toD diya
showers of wine, I did think, would come with rainy clime
but alas when it did rain my heart broke one more time
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
dekhne vaalo tabassum ko karam mat samjho
unheñ to dekhne vāloñ pe hañsī aatī hai
do not deem her smile to be a sign of grace
she mocks those poor souls who've looked upon her face
dekhne walo tabassum ko karam mat samjho
unhen to dekhne walon pe hansi aati hai
do not deem her smile to be a sign of grace
she mocks those poor souls who've looked upon her face
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
Geet 1
Image Shayari 6
ye daulat bhii le lo ye shohrat bhii le lo bhale chhiin lo mujh se se merii javaanii magar mujh ko lauTaa do vo bachpan kaa saavan vo kaaGaz kii kashtii vo baarish kaa paanii ye daulat bhii le lo ye shohrat bhii le lo bhale chhiin lo mujh se merii javaanii magar mujh ko lauTaa do bachpan kaa saavan vo kaaGaz kii kashtii vo baarish kaa paanii mohalle kii sab se nishaanii puraanii vo bu.Dhiyaa jise bachche kahte the naanii vo naanii kii baato.n me.n pariyo.n kaa Dheraa vo chehre kii jhuriyo.n me.n sadiyo.n kaa pheraa bhulaa.e nahii.n bhuul saktaa hai ko.ii vo chhoTii sii raate.n vo lambii kahaanii vo kaaGaz kii kashtii vo baarish kaa paanii kha.Dii dhuup me.n apne ghar se nikalnaa vo chi.Diyaa.n vo bulbul vo titlii paka.Dnaa vo gu.Diyo.n kii shaadii pe la.Dnaa jhaga.Dnaa vo jhuulo.n se girnaa vo girte sambhalnaa vo piital ke chhaa.nv ke pyaare se tohfe vo TuuTii hu.ii chuu.Diyo.n kii nishaanii vo kaaGaz kii kashtii vo baarish kaa paanii kabhii ret ke uu.nche Tiilo.n pe jaanaa gharau.nde banaanaa banaa ke miTaanaa vo ma.asuum chaahat kii tasviir apnii vo KHvaabo.n khilauno.n kii jaagiir apnii na duniyaa kaa Gam thaa na rishto.n ke bandhan ba.Dii KHuubsuurat thii vo zindagaanii ye daulat bhii le lo ye shohrat bhii le lo bhale chhiin lo mujh se merii javaanii magar mujh ko lauTaa do bachpan kaa saavan vo kaaGaz kii kashtii vo baarish kaa paanii vo kaaGaz kii kashtii vo baarish kaa paanii
agar ham kahe.n aur vo muskuraa de.n ham un ke liye zindagaanii luTaa de.n har ik mo.D par ham Gamo.n ko sazaa de.n chalo zindagii ko mohabbat banaa de.n agar KHud ko bhuule to kuchh bhii na bhuule ki chaahat me.n un kii KHudaa ko bhulaa de.n kabhii Gam kii aa.ndhii jinhe.n chhuu na paa.e vafaa.o.n ke ham vo nasheman banaa de.n qayaamat ke diivaane kahte hai.n ham se chalo un ke chehre se parda haTaa de.n sazaa de.n sila de.n banaa de.n miTaa de.n magar vo ko.ii faisla to sunaa de.n
mirii zabaa.n se mirii daastaa.n suno to sahii yaqii.n karo na karo mehrbaa.n suno to sahii chalo ye maan liyaa mujrim-e-mohabbat hai.n hamaare jurm kaa ham se bayaa.n suno to sahii banoge dost mire tum bhii dushmano ik din mirii hayaat kii aah-o-fuGaa.n suno to sahii labo.n ko sii ke jo baiThe hai.n bazm-e-duniyaa me.n kabhii to un kii bhii KHaamoshiyaa.n suno to sahii