Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi

Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi

Ghazal 1

 

Sher-o-Shayari 6

hameñ to yaad nahīñ koī lamha-e-ishrat

kabhī tumhīñ ne kisī din hañsā diyā hogā

hamein to yaad nahin koi lamha-e-ishrat

kabhi tumhin ne kisi din hansa diya hoga

  • Share this

dil har baat kah ga.e aañsū

gir ke āñkhoñ se rah ga.e aañsū

dil ki har baat kah gae aansu

gir ke aankhon se rah gae aansu

  • Share this

dekh kar kaalī ghaTā ahl-e-qafas

aur kyā karte taḌap kar rah ga.e

dekh kar kali ghaTa ahl-e-qafas

aur kya karte taDap kar rah gae

  • Share this

tark-e-ulfat se mohabbat likhā miT na sakā

vahī afsurdagī-e-shām-o-sahar aaj bhī hai

tark-e-ulfat se mohabbat ka likha miT na saka

wahi afsurdagi-e-sham-o-sahar aaj bhi hai

  • Share this

phirtī hai to phir jaa.e badaltī hai to badle

duniyā nazar hai mirī qismat to nahīñ hai

phirti hai to phir jae badalti hai to badle

duniya ki nazar hai meri qismat to nahin hai

  • Share this

BOOKS 1

 

RELATED contributors

Recitation

Speak Now