Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Syed Kashif Raza's Photo'

Syed Kashif Raza

1973 | Karachi, Pakistan

Prominent new generation Pakistani poet.

Prominent new generation Pakistani poet.

Syed Kashif Raza

Ghazal 33

Nazm 16

Sher-o-Shayari 5

maiñ apne-āp se kam bhī huuñ aur ziyāda bhī

vo jāntā bhī hai mujh ko to jāntā kyā hai

main apne-ap se kam bhi hun aur ziyaada bhi

wo jaanta bhi hai mujh ko to jaanta kya hai

kabhī kabhī mujhe lagtā hai vo nahīñ hai vo

magar kabhī kabhī lagtā hai vo vahī to nahīñ

kabhi kabhi mujhe lagta hai wo nahin hai wo

magar kabhi kabhi lagta hai wo wahi to nahin

is qadar ġhaur se dekhā hai sarāpā us

yaad aatā nahīñ ab mujhe chehrā us

is qadar ghaur se dekha hai sarapa us ka

yaad aata hi nahin ab mujhe chehra us ka

vo jo maqām hai terā mirī kahānī meñ

usī maqām pe maiñ tere tazkire meñ rahūñ

wo jo maqam hai tera meri kahani mein

usi maqam pe main tere tazkire mein rahun

us pe bas aise ghabrā.ī huī phirtī thī

aañkh se husn simaTtā nahīñ thā us

us pe bas aise hi ghabrai hui phirti thi

aankh se husn simaTta hi nahin tha us ka

BOOKS 2

 

RELATED contributors

More contributors From "Karachi"

 

Recitation

Speak Now