Umair Najmi
Ghazal 14
Sher-o-Shayari 7
bichhaḌ ga.e to ye dil umr bhar lagegā nahīñ
lagegā lagne lagā hai magar lagegā nahīñ
bichhaD gae to ye dil umr bhar lagega nahin
lagega lagne laga hai magar lagega nahin
-
Share this
- See Ghazal
nikāl laayā huuñ ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se piñjra nikālnā hai
nikal laya hun ek pinjre se ek parinda
ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai
-
Share this
- See Ghazal
tum pe kyā ḳhaak asar hogā mire sheroñ kā
tum ko to mīr-taqī-'mīr' nahīñ khīñch sakā
tum pe kya KHak asar hoga mere sheron ka
tum ko to mir-taqi-'mir' nahin khinch saka
-
Share this
- See Ghazal
us kī tah se kabhī daryāft kiyā jā.ūñgā maiñ
jis samundar meñ ye sailāb ikaTThe hoñge
us ki tah se kabhi daryaft kiya jaunga main
jis samundar mein ye sailab ikaTThe honge
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 2
ba.De tahammul se rafta rafta nikaalnaa hai bachaa hai jo tujh me.n meraa hissa nikaalnaa hai ye ruuh barso.n se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikaalnaa hai nazar me.n rakhnaa kahii.n ko.ii Gam-shanaas gaahak mujhe suKHan bechnaa hai KHarcha nikaalnaa hai nikaal laayaa huu.n ek pi.njre se ik parinda ab is parinde ke dil se pi.njra nikaalnaa hai ye tiis barso.n se kuchh baras piichhe chal rahii hai mujhe gha.Dii kaa KHaraab purza nikaalnaa hai KHayaal hai KHaandaan ko ittilaa.a de duu.n jo kaT gayaa us shajar kaa shajara nikaalnaa hai mai.n ek kirdaar se ba.Daa tang huu.n qalamkaar mujhe kahaanii me.n Daal Gussa nikaalnaa hai