Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Waseem Khairabadi

- 1929 | Uttar pradesh, India

Waseem Khairabadi

Ghazal 12

Sher-o-Shayari 4

falak bedād kartā hai jo jaur ījād karte haiñ

ġhazab shāgird Dhātā hai sitam ustād karte haiñ

falak bedad karta hai jo jaur ijad karte hain

ghazab shagird Dhata hai sitam ustad karte hain

  • Share this

āsmānoñ par bhī haiñ charche husn-e-ālamgīr ke

chāñd ne bhī rañg uḌaa.e chāñd tasvīr ke

aasmanon par bhi hain charche husn-e-alamgir ke

chand ne bhi rang uDae chand si taswir ke

  • Share this

use bahisht ke zindāñ meñ bhej denā tum

gunāhgār-e-mohabbat ko ye sazā denā

use bahisht ke zindan mein bhej dena tum

gunahgar-e-mohabbat ko ye saza dena

  • Share this

jurm itne kar chalā huuñ hashr tak likkheñge roz

kātib-e-āmāl pā.eñge na fursat kaam se

jurm itne kar chala hun hashr tak likkhenge roz

katib-e-amal paenge na fursat kaam se

  • Share this

BOOKS 1

 

RELATED contributors

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now