aadamiyyat ka din mere KHwab
ādamiyyat kā diin mere ḳhvāb
misl-e-āb-o-zamīn mere ḳhvāb
ho ga.e har nazar se vābasta
chhīn paa.e to chhīn mere ḳhvāb
ik mohabbat bhare cinema meñ
mere marne kā scene mere ḳhvāb
merī maujūdgī hai koī gumāñ
jis gumāñ kā yaqīn mere ḳhvāb
maut jitnī hasīn hai yaaro
us se baḌh kar hasīn mere ḳhvāb
apne ḳhvāboñ meñ raqs kartā huuñ
āfrīn āfrīn mere ḳhvāb
aadamiyyat ka din mere KHwab
misl-e-ab-o-zamin mere KHwab
ho gae har nazar se wabasta
chhin pae to chhin mere KHwab
ek mohabbat bhare cinema mein
mere marne ka scene mere KHwab
meri maujudgi hai koi guman
jis guman ka yaqin mere KHwab
maut jitni hasin hai yaro
us se baDh kar hasin mere KHwab
apne KHwabon mein raqs karta hun
aafrin aafrin mere KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.