aaine madd-e-muqabil ho gae
aa.ine madd-e-muqābil ho ga.e
darmiyāñ ham un ke haa.il ho ga.e
kuchh na hote hote ik din ye huā
saikḌoñ sadiyoñ kā hāsil ho ga.e
kashtiyāñ aa kar gale lagne lagīñ
Duub kar āḳhir ko sāhil ho ga.e
aur ehsās-e-jihālat baḌh gayā
kis qadar paḌh likh ke jāhil ho ga.e
apnī apnī raah chalne vaale log
bhiiḌ meñ āḳhir ko shāmil ho ga.e
tandurustī zaḳhm-e-kārī se huī
ye huā sharminda qātil ho ga.e
husn to puurā adhūre-pan meñ hai
sab adhūre māh-e-kāmil ho ga.e
aaine madd-e-muqabil ho gae
darmiyan hum un ke hail ho gae
kuchh na hote hote ek din ye hua
saikDon sadiyon ka hasil ho gae
kashtiyan aa kar gale lagne lagin
Dub kar aaKHir ko sahil ho gae
aur ehsas-e-jihaalat baDh gaya
kis qadar paDh likh ke jahil ho gae
apni apni rah chalne wale log
bhiD mein aaKHir ko shamil ho gae
tandurusti zaKHm-e-kari se hui
ye hua sharminda qatil ho gae
husn to pura adhure-pan mein hai
sab adhure mah-e-kaamil ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.