Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj meri palkon par qudsiyon ka mela hai

Awais ul Hassan Khan

aaj meri palkon par qudsiyon ka mela hai

Awais ul Hassan Khan

MORE BYAwais ul Hassan Khan

    aaj merī palkoñ par qudsiyoñ mela hai

    ishq terī mahfil meñ dil kahāñ akelā hai

    hūreñ terī yādoñ jannateñ sajātī haiñ

    un se aaj ye kah do zindagī jhamelā hai

    ā.īna sañvartā hai un ke dekhe jaane se

    rañg-o-nūr kahtā hai raushnī relā hai

    dard dil ko bhāte haiñ jaane kyuuñ lubhāte haiñ

    aañkh ke sitāroñ sajtā roz mela hai

    zindagī rāhoñ meñ zindagī nahīñ miltī

    roz-o-shab ke mele meñ jaane kyā jhamelā hai

    ishq tamannā thī ishq tamannā hai

    ishq rāhoñ meñ mastiyoñ mela hai

    ḳhud-shanās kyā hogā dil agar use DhūñDe

    vasl tamannā meñ kis qadar jhamelā hai

    aaj meri palkon par qudsiyon ka mela hai

    ishq teri mahfil mein dil kahan akela hai

    huren teri yaadon ki jannaten sajati hain

    un se aaj ye kah do zindagi jhamela hai

    aaina sanwarta hai un ke dekhe jaane se

    rang-o-nur kahta hai raushni ka rela hai

    dard dil ko bhate hain jaane kyun lubhate hain

    aankh ke sitaron ka sajta roz mela hai

    zindagi ki rahon mein zindagi nahin milti

    roz-o-shab ke mele mein jaane kya jhamela hai

    ishq ki tamanna thi ishq ki tamanna hai

    ishq hi ki rahon mein mastiyon ka mela hai

    KHud-shanas kya hoga dil agar use DhunDe

    wasl ki tamanna mein kis qadar jhamela hai

    Source :
    • Book : al-aqraba magazine islamabad Pakistan quarterly-July-september-2015 (Pg. (شائع شدہ سہ ماہی الاقرباء اسلام آباد پاکستان شمارہ جولائی .ستمبر ۲۰۱۵))
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now