aaj zara fursat pai thi aaj use phir yaad kiya
aaj zarā fursat paa.ī thī aaj use phir yaad kiyā
band galī ke āḳhirī ghar ko khol ke phir ābād kiyā
khol ke khiḌkī chāñd hañsā phir chāñd ne donoñ hāthoñ se
rañg uḌaa.e phuul khilā.e chiḌiyoñ ko āzād kiyā
baḌe baḌe ġham khaḌe hue the rasta roke rāhoñ meñ
chhoTī chhoTī ḳhushiyoñ se hī ham ne dil ko shaad kiyā
baat bahut ma.amūlī sī thī ulajh ga.ī takrāroñ meñ
ek zarā sī zid ne āḳhir donoñ ko barbād kiyā
dānāoñ kī baat na maanī kaam aa.ī nādānī hī
sunā havā ko paḌhā nadī ko mausam ko ustād kiyā
aaj zara fursat pai thi aaj use phir yaad kiya
band gali ke aaKHiri ghar ko khol ke phir aabaad kiya
khol ke khiDki chand hansa phir chand ne donon hathon se
rang uDae phul khilae chiDiyon ko aazad kiya
baDe baDe gham khaDe hue the rasta roke rahon mein
chhoTi chhoTi KHushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya
baat bahut mamuli si thi ulajh gai takraron mein
ek zara si zid ne aaKHir donon ko barbaad kiya
danaon ki baat na mani kaam aai nadani hi
suna hawa ko paDha nadi ko mausam ko ustad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.