aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein
ājizī aaj hai mumkin hai na ho kal mujh meñ
is tarah 'aib nikālo na musalsal mujh meñ
zindagī hai mirī Thahrā huā paanī jaise
ek kankar se bhī ho jaatī hai halchal mujh meñ
maiñ ba-zāhir to huuñ ik zarra zamīñ par lekin
apne hone kā hai ehsās mukammal mujh meñ
aaj bhī hai tirī āñkhoñ meñ tapish sahrā kī
karvaTeñ letā hai ab bhī koī bādal mujh meñ
jo añdheroñ meñ mire saath chalā bachpan se
ab vo taarā bhī kahīñ ho gayā ojhal mujh meñ
ḳhvāhisheñ aa ke lipaT jaatī haiñ sāñpoñ kī tarah
jab mahaktā hai tirī yaad kā sandal mujh meñ
ab vo aayā to bhaTak jā.egā rasta 'nusrat'
ab ghanā ho gayā tanhā.ī kā jangal mujh meñ
aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein
is tarah 'aib nikalo na musalsal mujh mein
zindagi hai meri Thahra hua pani jaise
ek kankar se bhi ho jati hai halchal mujh mein
main ba-zahir to hun ek zarra zamin par lekin
apne hone ka hai ehsas mukammal mujh mein
aaj bhi hai teri aankhon mein tapish sahra ki
karwaTen leta hai ab bhi koi baadal mujh mein
jo andheron mein mere sath chala bachpan se
ab wo tara bhi kahin ho gaya ojhal mujh mein
KHwahishen aa ke lipaT jati hain sanpon ki tarah
jab mahakta hai teri yaad ka sandal mujh mein
ab wo aaya to bhaTak jaega rasta 'nusrat'
ab ghana ho gaya tanhai ka jangal mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.