aankhen bujh jaengi shola rah jaega
āñkheñ bujh jā.eñgī sho'la rah jā.egā
yā'nī jo dekhā thā dekhā rah jā.egā
aglī sā'at she'r puurā kar pā.egī
yā ye misra mere jaisā rah jā.egā
terā bosa aisā pyāla hai jis meñ se
paanī piine vaalā pyāsā rah jā.egā
donoñ meñ se us pe dil ko ruknā hogā
lamhoñ meñ se jo ziyāda rah jā.egā
merī aahaT sun le jo tū sun saktā hai
phir ye aanā jaanā naġhma rah jā.egā
rang āḳhir uḌte jā.eñge yādoñ ke
dil meñ baaqī hai jo ḳhāka rah jā.egā
laḌkiyāñ do uTh na pā.eñgī leTī to
husn apnā husn chuntā rah jā.egā
aankhen bujh jaengi sho'la rah jaega
ya'ni jo dekha tha dekha rah jaega
agli sa'at she'r pura kar paegi
ya ye misra mere jaisa rah jaega
tera bosa aisa pyala hai jis mein se
pani pine wala pyasa rah jaega
donon mein se us pe dil ko rukna hoga
lamhon mein se jo ziyaada rah jaega
meri aahaT sun le jo tu sun sakta hai
phir ye aana jaana naghma rah jaega
rang aaKHir uDte jaenge yaadon ke
dil mein baqi hai jo KHaka rah jaega
laDkiyan do uTh na paengi leTi to
husn apna husn chunta rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.