aansu hain aur na aah-o-zari hai
aañsū haiñ aur na āh-o-zārī hai
ik 'ajab dil ko be-qarārī hai
kaisī ye ab ke be-qarārī hai
ek ik saañs yaañ pe bhārī hai
hijr kā ġham hai intihā kā par
aañkh nam hai na āh-o-zārī hai
thā adhūrā kabhī binā mere
jis ko do pal kā saath bhārī hai
kuchh nahīñ hai tumhāre hāthoñ meñ
saañs tak pe be-iḳhtyārī hai
jī rahe ho samajh ke apnī tum
jab ki ye zindagī hamārī hai
ab to lagtā hai ik tamāshā sā
dhaḌkanoñ kā jo khel jaarī hai
jī rahe haiñ tire binā ham jo
is meñ qudrat kī dast-kārī hai
ab ujālā hai 'shamsa' mahfil hai
kyūñki ye raushnī tumhārī hai
aansu hain aur na aah-o-zari hai
ek 'ajab dil ko be-qarari hai
kaisi ye ab ke be-qarari hai
ek ek sans yan pe bhaari hai
hijr ka gham hai intiha ka par
aankh nam hai na aah-o-zari hai
tha adhura kabhi bina mere
jis ko do pal ka sath bhaari hai
kuchh nahin hai tumhaare hathon mein
sans tak pe be-iKHtyari hai
ji rahe ho samajh ke apni tum
jab ki ye zindagi hamari hai
ab to lagta hai ek tamasha sa
dhaDkanon ka jo khel jari hai
ji rahe hain tere bina hum jo
is mein qudrat ki dast-kari hai
ab ujala hai 'shamsa' mahfil hai
kyunki ye raushni tumhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.