aarzu jine ki thi imkan jine ka na tha
aarzū jiine kī thī imkān jiine kā na thā
ḳhvāhisheñ thiiñ saf-ba-saf sāmān jiine kā na thā
qarz thā terā so jīte-jī tujhe lauTā diyā
zindagī varna mujhe armān jiine kā na thā
dostī zahrāb se kī ranj-o-ġham se kī nibāh
varna ye māhaul merī jaan jiine kā na thā
zindagī tū chhoḌ merā saath maiñ be-zār huuñ
merā terā to koī paimān jiine kā na thā
maiñ ne hañsne kī aziyyat jhel lī royā nahīñ
ye salīqa bhī koī āsān jiine kā na thā
kuchh tirī rahmat pe takiya kuchh gunāhoñ kī kashish
varna us duniyā meñ to insān jiine kā na thā
zehn kī āvārgī minnat-kash-e-duniyā na thī
zindagī kā bhī 'mujībī' dhyān jiine kā na thā
aarzu jine ki thi imkan jine ka na tha
KHwahishen thin saf-ba-saf saman jine ka na tha
qarz tha tera so jite-ji tujhe lauTa diya
zindagi warna mujhe arman jine ka na tha
dosti zahrab se ki ranj-o-gham se ki nibah
warna ye mahaul meri jaan jine ka na tha
zindagi tu chhoD mera sath main be-zar hun
mera tera to koi paiman jine ka na tha
main ne hansne ki aziyyat jhel li roya nahin
ye saliqa bhi koi aasan jine ka na tha
kuchh teri rahmat pe takiya kuchh gunahon ki kashish
warna us duniya mein to insan jine ka na tha
zehn ki aawargi minnat-kash-e-duniya na thi
zindagi ka bhi 'mujibi' dhyan jine ka na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.