aas hi se dil mein paida zindagi hone lagi
aas hī se dil meñ paidā zindagī hone lagī
sham.a jalne bhī na paa.ī raushnī hone lagī
intihā-e-ishq hai kaisī jafā kaisā gila
ab to un kī har ḳhushī apnī ḳhushī hone lagī
rok apnā haath rok ab ai junūn-e-jāma-dar
husn-e-parda-dār kī parda-darī hone lagī
uljhī uljhī saañs ghabrā.ī nazar bahke qadam
ai nigār-e-mast duniyā dūsrī hone lagī
chāñd merā kahkashāñ merī gul-o-ġhuncha mire
tum mire hone lage duniyā mirī hone lagī
Duube taare jhilmilā.ī sham.a shabnam ro paḌī
intizār-e-sub.h thā lo sub.h bhī hone lagī
soz-e-dil se raushnī hone lagī dil meñ 'nazīr'
ishq kī duniyā bhī duniyā husn kī hone lagī
aas hi se dil mein paida zindagi hone lagi
shama jalne bhi na pai raushni hone lagi
intiha-e-ishq hai kaisi jafa kaisa gila
ab to un ki har KHushi apni KHushi hone lagi
rok apna hath rok ab ai junun-e-jama-dar
husn-e-parda-dar ki parda-dari hone lagi
uljhi uljhi sans ghabrai nazar bahke qadam
ai nigar-e-mast duniya dusri hone lagi
chand mera kahkashan meri gul-o-ghuncha mere
tum mere hone lage duniya meri hone lagi
Dube tare jhilmilai shama shabnam ro paDi
intizar-e-subh tha lo subh bhi hone lagi
soz-e-dil se raushni hone lagi dil mein 'nazir'
ishq ki duniya bhi duniya husn ki hone lagi
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 89)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.