aasman ki rifaton se tarz-e-yari sikh lo
āsmāñ kī rif.atoñ se tarz-e-yārī siikh lo
sar uThā kar chalne vaalo ḳhāksārī siikh lo
pesh-ḳhema haiñ tanazzul kā takabbur aur ġhurūr
martaba chāho to pahle inkisārī siikh lo
ḳhud badal jā.egā nafrat kī fazāoñ kā mizāj
pyaar kī ḳhushbū luTāo mushkbārī siikh lo
chun lo qirtās o qalam yā teġh kar lo intiḳhāb
koī fan apnāo lekin shāhkārī siikh lo
phir tumhāre paañv chhūne ḳhud bulandī aa.egī
sab diloñ par raaj kar ke tāj-dārī siikh lo
ishq kā maidān āsāñ to nahīñ hai mohtaram
ishq karnā hī agar hai ġham-shi.ārī siikh lo
jis shajar kī chhāñv ho 'mājid' zamāne ke liye
kaise hogī is shajar kī ābiyārī siikh lo
aasman ki rifaton se tarz-e-yari sikh lo
sar uTha kar chalne walo KHaksari sikh lo
pesh-KHema hain tanazzul ka takabbur aur ghurur
martaba chaho to pahle inkisari sikh lo
KHud badal jaega nafrat ki fazaon ka mizaj
pyar ki KHushbu luTao mushkbari sikh lo
chun lo qirtas o qalam ya tegh kar lo intiKHab
koi fan apnao lekin shahkari sikh lo
phir tumhaare panw chhune KHud bulandi aaegi
sab dilon par raj kar ke taj-dari sikh lo
ishq ka maidan aasan to nahin hai mohtaram
ishq karna hi agar hai gham-shiari sikh lo
jis shajar ki chhanw ho 'majid' zamane ke liye
kaise hogi is shajar ki aabiyari sikh lo
- Book : Shaakh-e-Dil (Pg. 79)
- Author : Dr. Majid Deobandi
- Publication : Anjum Book Depot, Delhi-6 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.