ab kisi shaKH pe hilta nahin patta koi
ab kisī shāḳh pe hiltā nahīñ patta koī
dasht se umr huī guzrā na jhoñkā koī
lab pe fariyād na hai aañkh meñ qatra koī
vādi-e-shab meñ nahīñ ham-safar apnā koī
ḳhanda-e-mauj mirī tishna-labī ne jaanā
ret kā taptā huā dekh ke zarra koī
jāda-e-shauq pe kal log the aate jaate
ab 'sharīf' is pe musāfir nahīñ miltā koī
ab kisi shaKH pe hilta nahin patta koi
dasht se umr hui guzra na jhonka koi
lab pe fariyaad na hai aankh mein qatra koi
wadi-e-shab mein nahin ham-safar apna koi
KHanda-e-mauj meri tishna-labi ne jaana
ret ka tapta hua dekh ke zarra koi
jada-e-shauq pe kal log the aate jate
ab 'sharif' is pe musafir nahin milta koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.