ab koi dost to aisa bhi banaya jae
ab koī dost to aisā bhī banāyā jaa.e
jis ko har ranj-o-musībat meñ bulāyā jaa.e
toḌ Daale haiñ zamāne se marāsim saare
hāl-e-dil kis se kaheñ kis ko sunāyā jaa.e
maiñ ne karnī hai sitāroñ se koī raaz kī baat
abhī kuchh aur mire qad ko baḌhāyā jaa.e
jis kī fitrat meñ ho bas ek ḳhudā kī puujā
aisī miTTī se koī but na banāyā jaa.e
ab koi dost to aisa bhi banaya jae
jis ko har ranj-o-musibat mein bulaya jae
toD Dale hain zamane se marasim sare
haal-e-dil kis se kahen kis ko sunaya jae
main ne karni hai sitaron se koi raaz ki baat
abhi kuchh aur mere qad ko baDhaya jae
jis ki fitrat mein ho bas ek KHuda ki puja
aisi miTTi se koi but na banaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.