ab rishton mein gahrai
ab rishtoñ meñ gahrā.ī
bahte paanī par kaa.ī
tum kamroñ meñ band rahe
dhuup nahīñ thī harjā.ī
jab hoñToñ se chhūte tum
lagtā maiñ huuñ shahnā.ī
tum se mil kar der talak
achchhī lagtī tanhā.ī
bachchoñ se ghar chahke yuuñ
jyuuñ koyal se amrā.ī
tanhā kaalī rātoñ kī
uff kyuuñ baḌhtī lambā.ī
biitī baat adheḌo mat
'nīraj' sīkho turpāī
ab rishton mein gahrai
bahte pani par kai
tum kamron mein band rahe
dhup nahin thi harjai
jab honTon se chhute tum
lagta main hun shahnai
tum se mil kar der talak
achchhi lagti tanhai
bachchon se ghar chahke yun
jyun koyal se amrai
tanha kali raaton ki
uff kyun baDhti lambai
biti baat adheDo mat
'niraj' sikho turpai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.