ab sochta hun umr-e-do-roza se kya mila
ab sochtā huuñ umr-e-do-roza se kyā milā
duniyā ko kyā diyā mujhe duniyā se kyā milā
jo kam-nigāh the vahī ahl-e-nazar bane
ham ko hamāre dīda-e-bīnā se kyā milā
dil ko diye haiñ zauq-e-tamannā ne sau fareb
dil ko magar fareb-e-tamannā se kyā milā
irfān-e-shauq josh-e-junūñ zauq-e-bandagī
un kī talab thī aur mujhe kyā se kyā milā
dil hai ki rañg-o-bū ke talātum meñ ġharq hai
maiñ kyā kahūñ ki us gul-e-ra.anā se kyā milā
vo mutma.in haiñ ahd-e-rifāqat ko toḌ kar
ham munfa.il ki va.ada-e-fardā se kyā milā
dāman meñ aaj ḳhaar haiñ chhāle haiñ paañv meñ
gulshan se kyā milā mujhe sahrā se kyā milā
mere surūr-e-shauq ne be-ḳhud kiyā mujhe
varna ḳhumār bāda-e-sahbā se kyā milā
tāb-e-nazar nahīñ sahī zauq-e-nazar to hai
dil ko ḳhabar se sa.ī-e-tamāshā se kyā milā
kyā shām-e-ārzū se 'mubārak' kareñ 'umīd'
ham ko hamārī sub.h-e-tamannā se kyā milā
ab sochta hun umr-e-do-roza se kya mila
duniya ko kya diya mujhe duniya se kya mila
jo kam-nigah the wahi ahl-e-nazar bane
hum ko hamare dida-e-bina se kya mila
dil ko diye hain zauq-e-tamanna ne sau fareb
dil ko magar fareb-e-tamanna se kya mila
irfan-e-shauq josh-e-junun zauq-e-bandagi
un ki talab thi aur mujhe kya se kya mila
dil hai ki rang-o-bu ke talatum mein gharq hai
main kya kahun ki us gul-e-rana se kya mila
wo mutmain hain ahd-e-rifaqat ko toD kar
hum munfail ki wada-e-farda se kya mila
daman mein aaj KHar hain chhaale hain panw mein
gulshan se kya mila mujhe sahra se kya mila
mere surur-e-shauq ne be-KHud kiya mujhe
warna KHumar baada-e-sahba se kya mila
tab-e-nazar nahin sahi zauq-e-nazar to hai
dil ko KHabar se sai-e-tamasha se kya mila
kya sham-e-arzu se 'mubarak' karen 'umid'
hum ko hamari subh-e-tamanna se kya mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.