abhi ashkon mein KHun shamil nahin hai
abhī ashkoñ meñ ḳhuuñ shāmil nahīñ hai
mohabbat kā junūñ kāmil nahīñ hai
zamāne se mohabbat kā abhī tak
ye hāsil hai ki kuchh hāsil nahīñ hai
na āñkheñ phoḌ is dasht-e-junūñ meñ
ye rāh-e-nāqa-e-mahmil nahīñ hai
zamīñ par baiTh jā ai shaiḳh tū bhī
ye bazm-e-mai tirī mahfil nahīñ hai
tabīboñ se kaho ghar lauT jaa.eñ
ye dard-e-dil vo dard-e-dil nahīñ hai
hamīñ 'aḳhlāq' us se be-ḳhabar haiñ
kisī pal ham se vo ġhāfil nahīñ hai
abhi ashkon mein KHun shamil nahin hai
mohabbat ka junun kaamil nahin hai
zamane se mohabbat ka abhi tak
ye hasil hai ki kuchh hasil nahin hai
na aankhen phoD is dasht-e-junun mein
ye rah-e-naqa-e-mahmil nahin hai
zamin par baiTh ja ai shaiKH tu bhi
ye bazm-e-mai teri mahfil nahin hai
tabibon se kaho ghar lauT jaen
ye dard-e-dil wo dard-e-dil nahin hai
hamin 'aKHlaq' us se be-KHabar hain
kisi pal hum se wo ghafil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.