adu se shikwa-e-qaid-o-qafas kya
adū se shikva-e-qaid-o-qafas kyā
tumhāre baa'd jiine kī havas kyā
ham apnī dastaras meñ bhī nahīñ haiñ
zamāne par hamārī dastaras kyā
ka.ī din se ye dil kyuuñ muztarib hai
nahīñ chaltā ab is pe apnā bas kyā
hamāre paañv meñ chhāle paḌe haiñ
to phir is meñ ḳhatā-e-ḳhār-o-ḳhas kyā
jahāñ ḳhālī jagah hai baiTh jaao
'aqīdat meñ ye fikr-e-pesh-o-pas kyā
ḳhafā rahne lage ho mujh se aksar
judā ho jāoge ab ke baras kyā
adu se shikwa-e-qaid-o-qafas kya
tumhaare ba'd jine ki hawas kya
hum apni dastaras mein bhi nahin hain
zamane par hamari dastaras kya
kai din se ye dil kyun muztarib hai
nahin chalta ab is pe apna bas kya
hamare panw mein chhaale paDe hain
to phir is mein KHata-e-KHar-o-KHas kya
jahan KHali jagah hai baiTh jao
'aqidat mein ye fikr-e-pesh-o-pas kya
KHafa rahne lage ho mujh se aksar
juda ho jaoge ab ke baras kya
- Book : Duniya Zade (Pg. 220)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Scheherzade (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.