ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan
ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan
Mohammad Fakhrul Haq Noori
MORE BYMohammad Fakhrul Haq Noori
'ahd jaise bhī bañdhe the tere mere darmiyāñ
dard ke rishte juḌe the tere mere darmiyāñ
ġhair-mumkin thā fasīleñ fāsloñ kī phāñdnā
qismatoñ ke faisle the tere mere darmiyāñ
ik takallum kā ta'alluq toḌne se kyā huā
aur bhī kuchh rābte the tere mere darmiyāñ
kyā kahūñ manzil kī us kī samt bhī koī na thī
rāste hī rāste the tere mere darmiyāñ
tere dil kā maan TuuTe maiñ ne kab chāhā magar
aur bhī kuchh dil paḌe the tere mere darmiyāñ
vasl kī sarshāriyoñ se jo na ho sakte the hal
aise bhī kuchh mas.ale the tere mire darmiyāñ
sāmnā thā ik to dariyā-e-talātum-ḳhez kā
aur kuchh kachche ghaḌe the tere mere darmiyāñ
thā safar darpesh jaane kitne 'nūrī' saal kā
kaise kaise fāsle the tere mere darmiyāñ
'ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan
dard ke rishte juDe the tere mere darmiyan
ghair-mumkin tha fasilen faslon ki phandna
qismaton ke faisle the tere mere darmiyan
ek takallum ka ta'alluq toDne se kya hua
aur bhi kuchh rabte the tere mere darmiyan
kya kahun manzil ki us ki samt bhi koi na thi
raste hi raste the tere mere darmiyan
tere dil ka man TuTe main ne kab chaha magar
aur bhi kuchh dil paDe the tere mere darmiyan
wasl ki sarshaariyon se jo na ho sakte the hal
aise bhi kuchh masale the tere mere darmiyan
samna tha ek to dariya-e-talatum-KHez ka
aur kuchh kachche ghaDe the tere mere darmiyan
tha safar darpesh jaane kitne 'nuri' sal ka
kaise kaise fasle the tere mere darmiyan
- Book : Pakistani Adab (Pg. 630)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.