ai KHuda bharam rakhna barqarar is ghar ka
ai ḳhudā bharam rakhnā barqarār is ghar kā
hai tire karam par hī inhisār is ghar kā
har kivāḌ Duubā hai be-karāñ udāsī meñ
aur har darīcha hī sogvār is ghar kā
phailtī chalī jaa.e bel bad-gumānī kī
ḳhatm hī nahīñ hotā intishār is ghar kā
is jahāñ meñ hogā be-amal na ham jaisā
ham na rakh sake qaa.em e'tibār is ghar kā
kis qadar gunāhoñ ke murtakib hue haiñ ham
jo sukūn luTtā hai baar baar is ghar kā
gard be-yaqīnī kī gar sameT leñ mil kar
mo'tabar gharoñ meñ ho phir shumār is ghar kā
jaan se guzarne kā hausla atā kar de
ab makīñ na ho koī sharmsār is ghar kā
ai KHuda bharam rakhna barqarar is ghar ka
hai tere karam par hi inhisar is ghar ka
har kiwaD Duba hai be-karan udasi mein
aur har daricha hi sogwar is ghar ka
phailti chali jae bel bad-gumani ki
KHatm hi nahin hota intishaar is ghar ka
is jahan mein hoga be-amal na hum jaisa
hum na rakh sake qaem e'tibar is ghar ka
kis qadar gunahon ke murtakib hue hain hum
jo sukun luTta hai bar bar is ghar ka
gard be-yaqini ki gar sameT len mil kar
mo'tabar gharon mein ho phir shumar is ghar ka
jaan se guzarne ka hausla ata kar de
ab makin na ho koi sharmsar is ghar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.