apna milan kisi ki dili bad-dua bhi hai
apnā milan kisī kī dilī bad-duā bhī hai
ya.anī hamārā vasl hamārī sazā bhī hai
al-muḳhtasar tumhārī mahak oḌhte hue
ehsās ho gayā ki use phailnā bhī hai
is par Thahar sake to Thahar chal sake to chal
ye dil qayām-gāh bhī hai rāsta bhī hai
achchhā tirī nazar meñ bahut muḳhtalif huuñ maiñ
ya.anī tirī nazar meñ koī dūsrā bhī hai
saarī hisoñ kī Dor samā.at ko sauñp kar
us dil pe kaan rakh ki ḳhudā boltā bhī hai
tujh se ḳhushī ġhamī kā tafarqe miTā ki tū
ik ḳhush-gavār yaad bhī hai sāneha bhī hai
har ek dāstān ke har ek moḌ par
'hāris' ye sochnā kabhī aisā huā bhī hai
apna milan kisi ki dili bad-dua bhi hai
yani hamara wasl hamari saza bhi hai
al-muKHtasar tumhaari mahak oDhte hue
ehsas ho gaya ki use phailna bhi hai
is par Thahar sake to Thahar chal sake to chal
ye dil qayam-gah bhi hai rasta bhi hai
achchha teri nazar mein bahut muKHtalif hun main
yani teri nazar mein koi dusra bhi hai
sari hison ki Dor samaat ko saunp kar
us dil pe kan rakh ki KHuda bolta bhi hai
tujh se KHushi ghami ka tafarqe miTa ki tu
ek KHush-gawar yaad bhi hai saneha bhi hai
har ek dastan ke har ek moD par
'haaris' ye sochna kabhi aisa hua bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.