apni mahfil mein agar mujhko nahin paoge
apnī mahfil meñ agar mujh ko nahīñ pāoge
aise hālāt meñ tum aur bhī ghabrāoge
shauq se jaur-o-sitam mujh pe karo tum lekin
apnī nādānī pe ḳhud aap hī pachhtāoge
nāz-o-andāz kī qīmat hai tire mere sabab
kis kī mahfil meñ bhalā aur ġhazab Dhāoge
koī hogā nahīñ is jins-e-vafā kā tālib
kaun hai mere sivā jis ko ye dikhlāoge
kaaT lo merī zabāñ kaise vafādār kahūñ
haath meñ baale kaḌe paañv meñ pahnāoge
saḳht din apne is ummīd pe guzre 'ḳhushtar'
aaoge aaoge ab aaoge ab aaoge
apni mahfil mein agar mujh ko nahin paoge
aise haalat mein tum aur bhi ghabraoge
shauq se jaur-o-sitam mujh pe karo tum lekin
apni nadani pe KHud aap hi pachhtaoge
naz-o-andaz ki qimat hai tere mere sabab
kis ki mahfil mein bhala aur ghazab Dhaoge
koi hoga nahin is jins-e-wafa ka talib
kaun hai mere siwa jis ko ye dikhlaoge
kaT lo meri zaban kaise wafadar kahun
hath mein baale kaDe panw mein pahnaoge
saKHt din apne is ummid pe guzre 'KHushtar'
aaoge aaoge ab aaoge ab aaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.