baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun
baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
bāda-e-ḳhum-e-ḳhāna-e-tauhīd kā mai-nosh huuñ
chuur huuñ mastī meñ aisā be-ḳhud-o-mad.hosh huuñ
gird phirne de mujhe saaqī ye merā farz hai
misl-e-sāġhar daur meñ huuñ bāda-e-sar-josh huuñ
tarz-e-ḳhāmoshī mirī batlātī hai is raaz ko
huuñ navāsanj-e-haqīqat laakh maiñ ḳhāmosh huuñ
dardmand-e-ishq ho kar zabt kā ḳhūgar huuñ maiñ
sūrat-e-sīmāb ho kar paikar-e-ḳhāmosh huuñ
kis kī furqat vasl kis kā aur hai ma.ashūq kaun
'shād' maiñ is ālam-e-takvīñ kā ham-āġhosh huuñ
baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun
chur hun masti mein aisa be-KHud-o-madhosh hun
gird phirne de mujhe saqi ye mera farz hai
misl-e-saghar daur mein hun baada-e-sar-josh hun
tarz-e-KHamoshi meri batlati hai is raaz ko
hun nawasanj-e-haqiqat lakh main KHamosh hun
dardmand-e-ishq ho kar zabt ka KHugar hun main
surat-e-simab ho kar paikar-e-KHamosh hun
kis ki furqat wasl kis ka aur hai mashuq kaun
'shad' main is aalam-e-takwin ka ham-aghosh hun
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 64)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.