badr jab aagahi se milta hai
'badr' jab āgahī se miltā hai
ik diyā raushnī se miltā hai
chāñd taare shafaq dhanak ḳhushbū
silsila ye usī se miltā hai
jitnī ziyāda hai kam hai utnī hī
ye chalan āgahī se miltā hai
dushmanī peḌ par nahīñ ugtī
ye samar dostī se miltā hai
yuuñ to milne ko log milte haiñ
dil magar kam kisī se miltā hai
'badr' aap aur ḳhayāl bhī us kā
saaya kab raushnī se miltā hai
'badr' jab aagahi se milta hai
ek diya raushni se milta hai
chand tare shafaq dhanak KHushbu
silsila ye usi se milta hai
jitni ziyaada hai kam hai utni hi
ye chalan aagahi se milta hai
dushmani peD par nahin ugti
ye samar dosti se milta hai
yun to milne ko log milte hain
dil magar kam kisi se milta hai
'badr' aap aur KHayal bhi us ka
saya kab raushni se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.