Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna

Raghib Akhtar

bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna

Raghib Akhtar

MORE BYRaghib Akhtar

    bahut dushvār hai ab aa.ine se guftugū karnā

    sazā se kam nahīñ hai ḳhud ko apne rū-ba-rū karnā

    'ajab sīmābiyat hai in dinoñ apnī tabī'at meñ

    ki jis ne baat hañs kar usī aarzū karnā

    ibādat ke liye tat.hīr-e-dil bhī zarūrat hai

    vuzū ke baa'd phir ashk-e-nadāmat se vuzū karnā

    ye vasf-e-ḳhās hai kuchh aap se bā-vasf logoñ

    hameñ aatā nahīñ hai aap ko lamhe meñ karnā

    tirī fitrat meñ yuuñ musbat ishāre DhūñDtā huuñ maiñ

    kisī sahrā ko jaise chāhtā huuñ aabjū karnā

    bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna

    saza se kam nahin hai KHud ko apne ru-ba-ru karna

    'ajab simabiyat hai in dinon apni tabi'at mein

    ki jis ne baat ki hans kar usi ki aarzu karna

    ibaadat ke liye tathir-e-dil ki bhi zarurat hai

    wuzu ke ba'd phir ashk-e-nadamat se wuzu karna

    ye wasf-e-KHas hai kuchh aap se ba-wasf logon ka

    hamein aata nahin hai aap ko lamhe mein tu karna

    teri fitrat mein yun musbat ishaare DhunDta hun main

    kisi sahra ko jaise chahta hun aabju karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now