band darichon ke kamre se purwa yun Takrai hai
band darīchoñ ke kamre se purvā yuuñ Takrā.ī hai
jaise dil ke āñgan meñ dukhiyā ne taan lagā.ī hai
peḌoñ kī ḳhāmoshī se bhī dil merā ghabrātā hai
sahrā kī vīrānī dekh ke aañkh mirī bhar aa.ī hai
dil ke sahrā meñ yādoñ ke jhakkaḌ aaise chalte haiñ
jaise nain jharokā bhī us prītam kī añgnā.ī hai
apne dil meñ yādoñ ne zaḳhmoñ ke phuul khilā.e haiñ
jism kī is dīvār ke andar kis ne naqab lagā.ī hai
pattā pattā shāḳh se TuuTe darvāzoñ pe vahshat sī
yaaro prem kathā meñ kis ne dard kī taan milā.ī hai
dariyā dariyā naav bahe to gorī giit protī jaa.e
un gītoñ kī taan amar hai jin kā rañg judā.ī hai
panchhī kī chahkār hamesha jañgal ko garmāti hai
ḳhalq-e-ḳhudā ne apne dil meñ bas yahī yaad basā.ī hai
qadam qadam dukh dard ke saa.e shahr hue vīrāne bhī
kis ne des ke phūloñ par ab hijr kī raakh uḌaa.ī hai
band darichon ke kamre se purwa yun Takrai hai
jaise dil ke aangan mein dukhiya ne tan lagai hai
peDon ki KHamoshi se bhi dil mera ghabraata hai
sahra ki virani dekh ke aankh meri bhar aai hai
dil ke sahra mein yaadon ke jhakkaD aaise chalte hain
jaise nain jharoka bhi us pritam ki angnai hai
apne dil mein yaadon ne zaKHmon ke phul khilae hain
jism ki is diwar ke andar kis ne naqab lagai hai
patta patta shaKH se TuTe darwazon pe wahshat si
yaro prem katha mein kis ne dard ki tan milai hai
dariya dariya naw bahe to gori git proti jae
un giton ki tan amar hai jin ka rang judai hai
panchhi ki chahkar hamesha jangal ko garmati hai
KHalq-e-KHuda ne apne dil mein bas yahi yaad basai hai
qadam qadam dukh dard ke sae shahr hue virane bhi
kis ne des ke phulon par ab hijr ki rakh uDai hai
- Book : naquush (Pg. 294)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.