barahnagi ka mudawa koi libas na tha
barahnagī kā mudāvā koī libās na thā
ḳhud apne zahr kā tiryāq mere paas na thā
sulag rahā huuñ ḳhud apnī hī aag meñ kab se
ye mashġhala to mire dard kī asaas na thā
tirī navāzish-e-paiham ke naqsh dil meñ rahe
maiñ be-ḳhabar sahī par aisā nā-sipās na thā
har ek sher thā merā mire ḳhayāl kā aks
koī kitāb na thī koī iqtibās na thā
bikhar ga.e the so ḳhud ko sameT bhī lete
ki is yaqīn meñ shāmil mirā qayās na thā
barahnagi ka mudawa koi libas na tha
KHud apne zahr ka tiryaq mere pas na tha
sulag raha hun KHud apni hi aag mein kab se
ye mashghala to mere dard ki asas na tha
teri nawazish-e-paiham ke naqsh dil mein rahe
main be-KHabar sahi par aisa na-sipas na tha
har ek sher tha mera mere KHayal ka aks
koi kitab na thi koi iqtibas na tha
bikhar gae the so KHud ko sameT bhi lete
ki is yaqin mein shamil mera qayas na tha
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.