be-hisi insan ka hasil na ho
be-hisī insān kā hāsil na ho
dostī ho ret kā sāhil na ho
maiñ to bas ye chāhtā huuñ vasl bhī
do diloñ ke darmiyāñ haa.el na ho
mujh ko tanhā chhoḌne vaale batā
kyā karūñ jab dil tirī mahfil na ho
kis tarah merī zabāñ tak aa.egā
harf jo sachchā.ī kā hāmil na ho
ye zamāna chāhtā hai aaj bhī
ḳhūn-e-dil tahrīr meñ shāmil na ho
jis taraf le jā rahī hai zindagī
us taraf bhī kūcha-e-qātil na ho
ādamiyyat ke liye ye shart hai
aadmī kuchh ho magar saa.il na ho
be-hisi insan ka hasil na ho
dosti ho ret ka sahil na ho
main to bas ye chahta hun wasl bhi
do dilon ke darmiyan hael na ho
mujh ko tanha chhoDne wale bata
kya karun jab dil teri mahfil na ho
kis tarah meri zaban tak aaega
harf jo sachchai ka hamil na ho
ye zamana chahta hai aaj bhi
KHun-e-dil tahrir mein shamil na ho
jis taraf le ja rahi hai zindagi
us taraf bhi kucha-e-qatil na ho
aadamiyyat ke liye ye shart hai
aadmi kuchh ho magar sail na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.