Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaTak rahe hain gham-e-agahi ke mare hue

Shahbaz Khwaja

bhaTak rahe hain gham-e-agahi ke mare hue

Shahbaz Khwaja

MORE BYShahbaz Khwaja

    bhaTak rahe haiñ ġham-e-āgahī ke maare hue

    ham apnī zaat ko pātāl meñ utāre hue

    sadā-e-sūr-e-sarāfīl rasan-basta

    palaT ke jā.eñge ik roz ham pukāre hue

    shikast-e-zāt shikast-e-hayāt bhī hogī

    ki na pā.eñge ham hausloñ ko haare hue

    ai mere ā.īna-rū ab kahīñ dikhā.ī de

    ik umr biit ga.ī ḳhāl-o-ḳhad sañvāre hue

    matā-e-jāñ haiñ mirī umr bhar hāsil haiñ

    vo chand lamhe tire qurb meñ guzāre hue

    zamīñ pe zarra-e-be-nām the magar 'shahbāz'

    bulandiyoñ pe pahuñch kar hamīñ sitāre hue

    bhaTak rahe hain gham-e-agahi ke mare hue

    hum apni zat ko patal mein utare hue

    sada-e-sur-e-sarafil ki rasan-basta

    palaT ke jaenge ek roz hum pukare hue

    shikast-e-zat shikast-e-hayat bhi hogi

    ki ji na paenge hum hauslon ko haare hue

    ai mere aaina-ru ab kahin dikhai de

    ek umr bit gai KHal-o-KHad sanware hue

    mata-e-jaan hain meri umr bhar ka hasil hain

    wo chand lamhe tere qurb mein guzare hue

    zamin pe zarra-e-be-nam the magar 'shahbaz'

    bulandiyon pe pahunch kar hamin sitare hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now