bujhti hui aankhon ki umidon ka diya hun
bujhtī huī āñkhoñ kī umīdoñ kā diyā huuñ
maiñ tez havāoñ kī hathelī pe rakhā huuñ
maiñ apnī hī āvāz kī pahchān meñ gum huuñ
tanhā.ī ke sahrā meñ daraḳhtoñ kī sadā huuñ
maiñ roz nikal paḌtā huuñ anjāne safar par
manzil ke qarīb aa ke bhī manzil se judā huuñ
har sub.h na.e karb ke chehroñ se mulāqāt
har shaam bichhaḌne kā sabab pūchh rahā huuñ
ye ḳhuun meñ Duube hue mā'sūm farishte
ḳhāmosh larazte hue hoñToñ kī du'ā huuñ
is darja huuñ sahmā huā sūraj kī tapish se
girtī huī dīvār ke saa.e meñ khaḌā huuñ
ai ḳhāk-e-vatan ab to vafāoñ kā silā de
maiñ TūTtī sāñsoñ kī fasīloñ pe khaḌā huuñ
palkoñ pe sajā.e hue sachchā.ī kī sham.eñ
nā-karda gunāhoñ kī sazā kaaT rahā huuñ
dastār salāmat na ridā.eñ na qabā.eñ
har lamha sulagte hue ḳhvāboñ kī chitā huuñ
bujhti hui aankhon ki umidon ka diya hun
main tez hawaon ki hatheli pe rakha hun
main apni hi aawaz ki pahchan mein gum hun
tanhai ke sahra mein daraKHton ki sada hun
main roz nikal paDta hun anjaane safar par
manzil ke qarib aa ke bhi manzil se juda hun
har subh nae karb ke chehron se mulaqat
har sham bichhaDne ka sabab puchh raha hun
ye KHun mein Dube hue ma'sum farishte
KHamosh larazte hue honTon ki du'a hun
is darja hun sahma hua suraj ki tapish se
girti hui diwar ke sae mein khaDa hun
ai KHak-e-watan ab to wafaon ka sila de
main TuTti sanson ki fasilon pe khaDa hun
palkon pe sajae hue sachchai ki shamen
na-karda gunahon ki saza kaT raha hun
dastar salamat na ridaen na qabaen
har lamha sulagte hue KHwabon ki chita hun
- Book : karb-e-anaa (Pg. 21)
- Author : jaaved ikraam faarooqii
- Publication : maktaba jamia limited new delhi (1960)
- Edition : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.