chandni raat hai udasi hai
chāñdnī raat hai udāsī hai
koī chāñdī ho mail detī hai
us ke Dar hī se maiñ mohazzab huuñ
mere andar jo ek vahshī hai
shaam ko roz us se miltā huuñ
raat tanhā udaas kaTtī hai
log hañs-bol kar chale bhī ga.e
mez par chaa.e ab bhī rakkhī hai
zindagī yuuñ bhī zindagī Thahrī
kaTte kaTte bhī der lagtī hai
zālimo mujh ko dekh lene do
Thahar jaao ye us kī bastī hai
aao un se bhī mil hī leñ 'ābid'
ek duniyā to ham ne dekhī hai
chandni raat hai udasi hai
koi chandi ho mail deti hai
us ke Dar hi se main mohazzab hun
mere andar jo ek wahshi hai
sham ko roz us se milta hun
raat tanha udas kaTti hai
log hans-bol kar chale bhi gae
mez par chae ab bhi rakkhi hai
zindagi yun bhi zindagi Thahri
kaTte kaTte bhi der lagti hai
zalimo mujh ko dekh lene do
Thahar jao ye us ki basti hai
aao un se bhi mil hi len 'abid'
ek duniya to hum ne dekhi hai
- Book : Intakhab-e-Zarri.n Urdu Ghazal (Pg. 375)
- Author : Kh. Muhammad Zakariya
- Publication : Sangat Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.