Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh ho gaya bad-nam kuchh ziyaada hi

Mansoor Aafaque

charagh ho gaya bad-nam kuchh ziyaada hi

Mansoor Aafaque

MORE BYMansoor Aafaque

    charāġh ho gayā bad-nām kuchh ziyāda

    ki jal rahā thā sar-e-bām kuchh ziyāda

    tire bhulāne meñ merā qusūr itnā hai

    ki paḌ ga.e the mujhe kaam kuchh ziyāda

    maiñ kitne haath se guzrā yahāñ tak aate hue

    mujhe kiyā gayā nīlām kuchh ziyāda

    malāl terī judā.ī be-panah lekin

    fasurda hai ye mirī shaam kuchh ziyāda

    tamām umr āvārgī bajā lekin

    lagā hai ishq ilzām kuchh ziyāda

    bas ek raat se kaise thakan utartī hai

    badan ko chāhiye ārām kuchh ziyāda

    sambhāl apnī bahaktī huī zabāñ 'mansūr'

    le rahā hai koī naam kuchh ziyāda

    charagh ho gaya bad-nam kuchh ziyaada hi

    ki jal raha tha sar-e-baam kuchh ziyaada hi

    tere bhulane mein mera qusur itna hai

    ki paD gae the mujhe kaam kuchh ziyaada hi

    main kitne hath se guzra yahan tak aate hue

    mujhe kiya gaya nilam kuchh ziyaada hi

    malal teri judai ka be-panah lekin

    fasurda hai ye meri sham kuchh ziyaada hi

    tamam umr ki aawargi baja lekin

    laga hai ishq ka ilzam kuchh ziyaada hi

    bas ek raat se kaise thakan utarti hai

    badan ko chahiye aaram kuchh ziyaada hi

    sambhaal apni bahakti hui zaban 'mansur'

    tu le raha hai koi nam kuchh ziyaada hi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now